Sunday, May 15, 2011

Bachpan Se Aaj Tak (A little poem on my life).............

Wo Maa KA Aanchal, Wo Mamta Ka Badal.....
Mujhe Ab Bhi Yaad Hai,

Wo Nani Ka Maa Ko Dantna, Wo Mausi Ka Puchkarana.....
Mujhe Ab Bhi Yaad Hai,

Wo Buaa Ke Haath Me Mera Haath, Wo Buddhi Dadi Ka Sath.....
Muje Ab Bhi Yaad Hai,

Wo Chacha Ki Daant, Wo Baba Ki Kahi Har Ek Baat.....
Mujhe Ab Bhi Yaad Hai,

Wo Roti Ki Chidiya, Wo Papa Ki Di Hui Gudiya.....
Mujhe Ab Bhi Yaad Hai,

Wo Bhaiya Ka Mujhe Satana, Wo Behna Ka Mujhe Khilana.....
Mujhe Ab Bhi Yaad Hai,

Wo Mitti Ka Banaya Mera Ghar, Wo Dosto Ka Uspe Kahar.....
Mujhe Ab Bhi Yaad Hai,

Wo Footbal Se Lagi Chot, Wo Aam ki Ped Se Girna.....
Mujhe Ab Bhi Yaad Hai,

Wo Maa Ki God Me Hona, Wo Papa Ke Kandhe Par Raat-Raat Sona.....
Mujhe Ab Bhi Yaad Hai,

Wo Dosto Ka Sath, Wo Har Pal Me Hui NokJhok Ki Baat.....
Mujhe Ab Bhi Yaad Hai,

Wo Cricket Ka Junoon, Wo Dosto Ka Hujum.....
Mujhe Ab Bhi Yaad Hai,

Wo School Ki Padhayi, Wo Dosto Se Hui Meri Ladayi.....
Mujhe Ab Bhi Yaad Hai,

Wo Ladkiyo Ko Chidhana, Wo Unke Piche Mere Dosto Ka Jana.....
Mujhe Ab Bhi Yaad Hai,

Wo College Ka Fhasana, Wo Har Class Me Jakar Apni Dhauns Dikhana.....
Mujhe Ab Bhi Yaad Hai,

Wo Us Din Apne Pyar Se Milna, Wo Raina (Time) Jisme Apne Apko Har Khona.....
Mujhe Ab Bhi Yaad Hai,

Wo Apno Se Bichadna, Wo Ankhon Se Ansu Ka Nikalna.....
Mujhe Ab Bhi Yaad Hai,

Wo Apno Ki Yaad, Wo Har Raste Par Dosto Se Ki Gayi Baat,
Wo Pyar Ke Sang Pyar Bhare Pal Ki Saugat.....
Mujhe Ab Bhi Yaad Hai..!!

~I can not forgot that memorial time for me~

No comments:

Post a Comment

Here Please Comment Upon My Shayri.....!

Thanks & Regards By- Roshan Dhar Dubey
[Email Id-rddubeyup@gmail.com]