Wednesday, September 29, 2010

Humare Gum Pe Kisi Ko Tarsh Na Aaya.......

Humare Gum Pe Kisi ko Tarsh Na Aaya,
Humari Mohabbaat Pe Kisi ko Vishwas Na Aaya,
Hum Chahte Rahe Sabko Is Kadar,
Ki Thi Jo Unhone Galtiya Magar Mera Hi Har Jagah Naam Aaya.

Humare Paas Labz Na The Apni Maa Se Apna Gum Kehne Ko.......

Humare Paas Labz Na The Apni Maa Se Apna Gum Kehne Ko,
Wo Samajh Bhi Na Payi Mere Baato Me Rone Ki Siskiyon ko,
Hum Jindagi Ke Kis Halat Se Gujar Rhae The Us Waqt,
Wo Dekh Bhi Na Payi Mere Akelepan Ke Raste Ko.

Najro Ki Ulfat To Dekho Ko Mere Haath Likhnae Ko........

Najro ki ulfat to dekho ki mere haath likhnae ko majboor ho gaye,
Teri adaa hume kuch aisee lagi ki,
Hum na chah kar bhi teri chahat me jhukane gaye.Ulfat

Humne To Aapke Har Adaa Ko Mehsus Kiya Hai....

Humne To Aapke Har Adaa Ko Mehsus Kiya Hai,
Aap Ke Dil Me Utar Khud ko Doobo Diya Hai,
Aab To Aap Hi Aap Mujh Me Samaye Hai,
Ya Fir Mera Dil Hi Aap Me Samaya Hai.

Tuesday, September 28, 2010

Aap Jo Net Se Shayri Copy Kar Paste Karte Hai...

Aap Jo Net Se Shayri Copy Kar Ke Paste Karte Hai,
Wo Hum Jaise Shayro ko Yaad Rahate Hai,
Sorry Mere Dost Magar Hum To Shayar Hai,
Jo Har Raste Par Bina Gaye Hi Pahuncha Karte Hai.

Mausam Ki Bahar Acchi hi Hogi...........

Mausam Ki bahar Acchi Hi Hogi,
Jab humari yaari Sachhi Hogi..................
Rab Se Kya Dua Karte Ho?
Agar Tum Mere Sath hoge To Har Pal Acchi Hogi.

Har Andhere Ke Baad Ek Ujela Aaata hai.................

Har Andhere Ke Baad Ek Ujaela Aaata Hai,
Har Kinare Ke Baad Ek Naya Safar Aaata Hai,
Dil Me Pyas Aur Dimag Me Agar Ho Sachhi Lagan,
To Maut Ke Baad Bhi Jindagi Ki Safar Ka Suruaat Hota Hai.

Monday, September 27, 2010

Aapko Dekhe Bina Hi Aapki Tasveer Bana Dete.....

Aapko dekhe bina hi aapki tasveer bana dete,
apni chaht ko apne dil ke panno par utaar dete ,
Magar aapne na di hume apni sachhi mohabbat,
warna hum apni takdeer ki lakiro me aapke naam ki lakir uker dete.

Dar Jata Hu Aksar Mai Jindagi Ki Sachayi Jankar.....

Dar Jata Hu Aksar Mai Jindagi Ki Sachayi Jankar,
Log Door Chale Jate Hai Jo Dil Ke Paas Aakar,
Bahut Dard Hota Hai Dil Me Aksar Aise Halat Me,
Tab Mera Dil Karta Hai Mar Jau Jahar Khakar.

Dar Jata Hu Aksar Mai Jindagi Ki Sachayi Jankar.....

Dar Jata Hu Aksar Mai Jindagi Ki Sachayi Jankar,
Log Door Chale Jate Hai Jo Dil Ke Paas Aakar,
Bahut Dard Hota Hai Dil Me Aksar Aise Halat Me,
Tab Mera Dil Karta Hai Mar Jau Jahar Khakar.

Humne Jindagi Ke Kayi Najrane Dekhe Hai.............

Humne Jindagi Ke Kayi Najrane Dekhe Hai,
Logo Ko Karib Aakar Door Jate Hue Dekhe Hai,
Jhoothe Sapno Ki Duniya Se Bahar Aaakar Dekho,
Kuch Ko To Apne Hi Pyar Ko Sine Se Mitate Hue Dekhe Hai,

Aaj Hume Dard Bahut Hai Meri Dhadkan Me.....

Aaj Hume Dard Bahut Hai Meri Dhadkan Me,
Kami Khalti Hai Teri Har Pal Pal Me,
Tune Batayi Na Mujhe Jo Apne Dil Ki Baat,
Ab Tere Hi Khayalo Me Rahata Hu Pal Pal Me.

Kab Koi Paraya Chupake Se Apna Ban Jata Hai,

Kab Koi Paraya Chupake Se Apna Ban Jata Hai,
Kab Koi Humare Dil Ke Bahut Karib Aa Jata Hai,
Bhale Hi Na Ho Koi Khoon Ka Rista Usase Magar,
Pata Hi Nahi Chalta Hai Ki Uske Saanso Ka Rista,
Kab Humare Dhadkan Se Jood Jata Hai,
Saans Uski Rukti Hai Magar Jana Humara Jata Hai,
Shayad Yahi Pyar Kehlata Hai.

Har Shqs Ke Dil Me Armaan Bahut Saara Hai,

Har Shqs Ke Dil Me Armaan Bahut Saara Hai,
Koi Ne Apna Ghar To Koi Pyar Ko Hara Hai,
Hum To Kehte Hai Jindagi Ka Naam Hi Haar-Jeet Hai,
Kyunki Hume Pata Hi Nahi Chalta Ki Kaun Apan Aur Kaun Paraya Hai.

Kisi Ko Rass Na Aat Meri Shayri,

Kisi Ko Rass Na Aat Meri Shayri,
Koi Nahi Chahata Hai Meri Yaari,
Agar Hoti Kisi Ke Dil Me Mere Liye Hasrat,
To Wo Ek Baar Deta Jarur Jabab Yaad Ki Meri.

Koi Kyu Nahi Samjhata Mere Dard-e-Dil Ko?

Koi Kyu Nahi Samjhata Mere Dard-e-Dil Ko?
Koi Kyu Nahi Samjha Pata Meri Shayri Me Chupe Dard Ko?
Sabko Kyu Lagat Hai Ki Hum Jhooth Likhte Hai Apni Shayri me?
Jabki Hum To Samet Dete Apni Shayri Me Puri Jindagi Ko.......!

Tuesday, September 21, 2010

Hamra Dil To Sishe Ka Hai Jo Koi Bhi Kabhi..........

Hamra Dil To Sishe Ka Hai Jo Koi Bhi Kabhi Tod Jata Hai,
Bada Beraham Hai ye Duniya Jo Har Mod Par Dhokhebaajo se milata Hai,
Hamari Chaht na Thi Aise Logo Se Milne ki Magar,
Kya Kare Hame Aapka Is Duniya Me Akele Hone Ka Khayal Aata Hai.

Aaj Ji Bhar Ke Sharab Pila De Shaki...................

Aaj Ji Bhar Ke Sharab Pila De Shaki,
Jindagi Me Meri Koi Dard Na Rahi Baki,
Pi-Pi Kar Bhi Agar Gum Bhula N Paya,
To Jidagi Me Jine Ki Koi Raah Na Baki.

Gujar Jate Hum Had Se Bhi Aage.....................

Gujar Jate Hum Had Se Bhi Aage,
Agar Aap Na Aate Mere Jivan Me,
Kar Lete Khud Ki Kahani Khatam,
Agar aap Meri Saanso Me Na Samate.

Tune Meri Chaht Ko Jagaya Hai................

Tune Meri Chaht Ko Jagaya Hai,
Ab Mera Dil Teri Hi Yaado Me Samaya Hai,
Tu Mujhe Kabhi Dhokha Mat Dena Mera Dil Toot Jayega,
Kyunki Mere Dil Me Ab Tera Hi Tasweer Samaya Ha

Mauka Mile To Hume Bhi Yaad Kar Lena..................

Mauka Mile To Hume Bhi Yaad Kar Lena,
Jindagi Mile To Kuch Pal Humare Sath Gujar Lena,
Humari Chahat Hai Ki Aapka Har Pal Khusiyo Se Bhar De,
To Mile Hajar Dosto Se Fursat To Hume Ek Baar Yaad Kar Lena.

Mauka Mile To Hume Bhi Yaad Kar Lena..................

Mauka Mile To Hume Bhi Yaad Kar Lena,
Jindagi Mile To Kuch Pal Humare Sath Gujar Lena,
Humari Chahat Hai Ki Aapka Har Pal Khusiyo Se Bhar De,
To Mile Hajar Dosto Se Fursat To Hume Ek Baar Yaad Kar Lena.

Monday, September 20, 2010

Sham Dhali Phir Teri Yaad Aayi.................

Sham Dhali Phir Teri Yaad Aayi,
Saans Li Teri Khusbu Mere Yaado Me Aayi,
Ye Teri Chahat Ne Kya Rang Dala Hai Mujh Par,
Jo Rota Hu Fir Bhi Honto Pe Ek Halki Si Muskaan Aayi.

Pahle To Hum Shayar Na The Magar.............

Pahle To Hum Shayar Na The Magar,
Aapno Se Doori Ke Dard Ne Hume Shayar Bana Diya,
Karna Chahte The Sabko Khush Apni Baato Se Magar,
Bhari Mehfil Me Apne Dard Bhari Shayri Se Sabko Rula Diya.

Hamare Mijaja Ko Abhi aapne Dekha Hi Kaha..........

Hamare Mijaja Ko Abhi Aapne Dekha Hi Kaha,
Jara Hamre Dil Me Utar Ke To Dekhiye,
Hum Wo Bala Hai Jo Lag Jaye Gale Ek Baar Kisi Se,
To Fir Wo Khud-B-Khud Kahe Ki Abhi Dil Bhara Kaha.

Aadat Na Thi Humko Muskurane Ki..................

Aadat Na Thi Humko Muskurane ki,
Saja Jo Di Thi Usne Hume Har Pal Aansu Bahane Ki,
Kya Milega Use Mujhe Rota Dekhkar?
Jo Jarurat Thi Use Humse Jhoot Bolkar Jaane Ki?

Saturday, September 18, 2010

Aaj Yaha Halki Halki Barsaat Hui..........................

AAJ yaha halki halki barsaat hui*
Jis pal bhige the apke sang akele me*
Un yadon se humari mulakat hui*
Phir hamre ankho par boondo ki ehsas hui.
WrittenBy-ROSHAN Date:5JUNE2010 Time-9:45P.M.

Barish Ki Boonde Mere Dil Ko Bheega Deti Hai.........

Barish ki boonde mere dil ko bheega deti hai*
Aati hai jab yaad aapki to palko ko bheega deti hai*
Wo bheege pal khushiyon ke hum kaise bhule*
Jo apko humse har pal me mila deti hai.
WrittenBy:ROSHAN Date-6JUNE2010

Jindagi Me Kisi Akele Ko Gum Nahi Hota.................

Jindgi me kisi akele ko gum nhi hota hai*
Sabki gum ki aahon ka karvan band nhi hota hai*
Koi baha leta hai aansu chupakar narjro se sabke*
Magar koi aanson k khatir khoon ki dhara baha leta hai.
Written By:Roshan Date:5june2010

Subah ki suruaat agar aapka sath...........

Subah ki suruaat agar aapka sath n ho to mujhe koi khushi nhi*
Jindgi me agar aapka sath n ho to jindgi jine ka man nhi*
Aapki yaado ne hume jinda kar rakha hai*
Vrna apki sms me koi dam hi nhi.
Written by-Roshan* Date:2june2010

Khushi me to sab shamil hote hai.......................

Khushi me to sab shamil hote hai,
Magar gam me koi nhi,
Jalta hai mera jiya phir v kisi k paas iska malham nhi,
Dekho door hai hum apse kitne v mgar,
Hum apke har pal me samil to sahi.
Written by:Roshan* date:1June2010

Jawani k aalam me sabko pyar ka......................

Jawani k aalam me sabko pyar ka khumar chata hai,
Jab milti hai jindgi se maar tab ye bukhar jata hai,
Hum v jawani me pyar kar baithe,
Magar hume kya pata tha pyar me to nind v nahi aata hai.
Written by:roshan date:31may2010

Daudti Hui Jindagi Hai..................................

Duadti hui jindgi hai,
Pata nhi kitna lamba safar hamara hai?
Suru kar chuke hai apne safar ka aasiyane ko,
Magar pata nhi rukna kaha par hai?
written by:roshan date:30may2010"

Jindagi Me Ab Kisi Ka Sahara N Raha....................

Jindgi me ab kisi ka sahara n raha,
Rah chalte koi hamara n raha,
Ham ho gaye hai apno se juda,
Ab is jindgi ko jine ka makasad v hamara n raha.
*i miss ...*
Specialy Written By: Roshan Dhar Dubey
Written Date: 30 may 2010

Tujhe Kaise Haal Sunau Apne Dil Ka........................

Tujhe kaise haal sunau apne dil ka,
Lafzo me kaise batau dard apne dil ka,
Dil ko to sukun milta hai teri baato se,
Ab tu hi bataa kaise sunau dil ko aawaz teri hontho ka?
written by- roshan dubey Date-27may2010 Time-7:33 p.m.

Aaj Thandi hawao Ne Hame Ek Geet Sunaya hai.........

Aaj thandi hawao ne hume ek geet sunaya hai,
Pyar ki boli ko mere dil me utara hai,
Umad raha hai pyar hal pal me,
Har pal ab dil me aapka hi khayal aaya hai.
****written by: roshan date:29may2010****

Jab Bhi Subah Hoti Hai jindagi Ki.........................

Jab bhi subah hoti hai jindgi ki suruaat apse milti hai,
Dopahr ki dhoop me apke pyar ki chanv milti hai,
Sham ki tanhayiyo me apki yaad milti hai,
Phir sunhari raat me apke sang sapno ki barsaat milti hai.
written by-roshan* date-24may2010* time-9:13p.m.

Roshan Ki Dosti Kayamat TaK Rahegi................

Roshan ki dosti kayamat tak rahegi,
Chahe aap bhul jao Roshan ko magar,
Roshan ko apki har ek baat yaad rahegi,
Bharta rahega apka daman khushiyo se,
Bhale hi Roshan ki jindgi gum-e-halat rahegi.

Written specialy by Roshan Dubey at 9 a.m. of 25may2010*

Tadap-Tadap Ke Jee Rahe Hai....................

Tadp-2 k jee rahe hai hum apke khayalo me,
Dil kho raha hai khud se sawalo me,
Kab aapko aayegi meri mohabbat ki yaad?
mera dil puch raha hai apke jababo me*
written by:roshan date:24may2010""

Intezaar Karta Hu Har Pal Mai........................

Intezaar karta hu har pal mai apke sms/call ka,
Dil dard se ro uthata hai jab nhi aata hai jabaab hamaare sawaalon ka,
Dhoondta hu apni manji mai aapme har pal,
Agar sath manga mai jindgi bhar ka,
To kya jabaab hoga apke is sawaal ka?
written by: Roshan Dhar Dubey date:19may2010""

Tumhari Badi Badi Ankho Me..........................

Tumhari badi badi aankho me ye dil doob jana chahta hai,
Ye aashik tumhare pyar me khood ko doob jana chahta hai,
Pyar ki kasti aage le jane ke khatir,
khud k aansuo se tere dil ko bhiga dena chahta hai.
*i want to die in love* written by:roshan date:20may2010

Aankho Me Aansu Ka Samandar Hai Magar..............

Ankho me aansu Ka samandar hai magar dekh nhi sakta koi tere siva,
Teri liye ab ye dhadkata hai dil ye sun nhi sakta koi tere siva,
Agar dard de sakti ho tum to us drad ki dawa nhi de sakta koi tere siva.
*I Am Missing Her* written by:roshan date:22may2010"

Meri Jindagi Me Kitna Dard hai..........................

Meri jindgi me kitna dard hai ye honto se kaha nhi jata,
Aapki yaado k bagair ab raha nhi jaata,
Maine ki hai sachhi mohabbat aapse,
Ab aapki kami ko saha nhi jata.
Written by:Roshan Date-22may2010 Time-8:52p.m.

Aapki Kami Hume Tadpati Rahti hai...............

Aapki kami hume har pal satati rahti hai,
Aapke sang gujari har raat Aapki kami ki yaad dilati rahti hai,
Aapko chumne ka ehsas abhi v mere hontho ko hai,
Jiski mithas mujhe tadpati rahti hai.
*specialy written for my love*
written by:roshan dubey, date:22may2010

Thursday, September 16, 2010

Bahut yaad Aati Hai.......

Bahut yaad aati hai apki hame,
Raah chalte najar aa jati hai apki tasvir hame,
Pataa nhi kya samjhu mai is bimari ko?
Jo apke dil ki dhadkan v sunati hai hame.

Beeti Baate yaad Bankar Satati Hai.....................

Beeti baten yaad bankar satati hai mujhe,
Tumhare sang gujare har lamhe ki yaad dilati hai mujhe,
Kaise khush the hum us waqt tumhare sang,
Ye soch aansu ankho k bahar aa jane ko kehti hai mujhe.

Dard Bahut Hua Tha Tujhse Judayi Ke Waqt......

Dard bahut hua tha tujhse judayi k waqt,
Tera phone aya us khudayi k waqt,
Jab dil ro raha tha teri yado me,
To teri bato ne muskan layi thi hotho pe us waqt.
By:Roshan Dedicated For His Love

Vaada Kiya Tha Ki Kabhi..............................

Vada kiya tha tujhse ki kabhi door n jaunga,
Ek pal v bechain kar tujhko n rulaunga,
Teri yado ko apne sine se har waqt lagaunga,
Ye hmare pyar ka rista hai jise har pal me nibhaunga.
Writen By:Roshan Dedicated to his truthful friend's & lov

Beeti yaaden satati hai.............................

Beeti baten yaad bankar satati hai mujhe,
Tumhare sang gujare har lamhe ki yaad dilati hai mujhe,
Kaise khush the hum us waqt tumhare sang,
Ye soch aansu ankho k bahar aa jane ko kehti hai mujhe.

Tuesday, September 14, 2010

Ehassas N Tha...................

Apne dard se ab tak mukhatib n tha,
Jab mili khushi itni siddat se to pareshan n tha,
Jab milne lage charo tarf gum k saye to,
Kaha se milegi manjil iskaa mujhe v ehsas bhi n tha.
Written By & Date-*Roshan Dubey (28april2010)

Apni Pehcahn Nahi Khote..........

Kuch risto k naam nhi hote magar wo riste aam nhi hote,
Kabhi sawar dete hai kisi ki dukh bhari jindgi ko,
Ye rishte kbhi apni pechan nhi khote*jaisehum&aap.
Origional Written Date-"4/22/2010"

Aapke Pyar Ne Khinch Laya hai............................

Kal jindgi ne mujhe dusara janam diya heai,
Apki duaao ne mujh par asar kiya hai,
Laut aaya hu agar maut k sagar se,
To Usse jarur apke pyar ne khinch laya hai.
**Written Date-13april2010**

Aapki Yadon ko..........

Apki Yadon Ko Har Pal hum Apne Sine Se lagayenge,
Aur Aap Jahan Bhi Jaaoge Hum Piche-Piche Chale Aayenge.

Jindagi Bhar Ki Pyas Hai............

Aapki Yaado ke sahare mere jivan ki har saans hai,
Kar lo dosti kyunki yahi to meri jindagi bhar ki pyas hai.

Maine Kasam Khayi Hai.......................

Jindaigi Me Gum Ek Sachhayi Hai,
Jo Bina Bukaye Hi Sabki Jindagi Me Aayi Hai,
Koi Nahi Door Rah Paya Hai Isase,
Tabhi To Hamne Ise Aapse Door Le Jane Ki Kasam Khayi Hai.
*Written For Everyone Form Every Where*

Monday, September 13, 2010

Aapko Waqt Lagtaa Hai Hame Yaad Karne Me..........

Date-13sept2010, 7:45pm
Aapko Waqt Lagata Hai Humko Yaad Karne Me,
Magar Hume To Waqt Lagta Hai Aapse Baat Karne Me,
Aap Har Pal Gairo Ki Chata Ko Marte Ho,
Hamara Pal To Gujarta Hai Aapki Chahat Me Khud Ko Khone Me.

Aaj Sanam Ki Kami Khali................

Date-13sept2010, 7:45pm
Ae Sanam Teri Kami Hume Aaj Phir Khali,
Jab Mai Tha Akela Aur Sard Mausam Ki Hawa Chali,
Teri julfo Ke Saaye Me Gujaare Wo Pal Hame Yaad Aaa Gaye,
Jaise Hi Baarish Ki boonde Mere Hontho Pe Aaa Lagi.

Mere Yaar Ka Pyar Maujood Tha....................

Date-13sept2010, 7:45pm
Masuan Yaha ka Madmast Tha,
Sard haao Ka Har Taraf Khusnuma Manjar Tha,
Hum Mehsus Kar Rahe The Baarish Ki Boondo ko,
Kyunki Usme Mera Yaar Ka Pyar Maujood Tha.

Sunday, September 12, 2010

Jindagi Ne Kaha......................

Jindagi Ne Kaha Mujhse Ki Tum Mujhse Pyar Karo,
Magar Maine Kaha Dosto Se Pyar Hai Mujhko,
To Tum Kisi Aur Pe Apne Dar Ka Waar Karo.

Aapki Chahat.................

Aapki chahat k hum deewane ho gaye,
Pyar bhari jindgi k afsaane ban gaye,
Chahte hai bahut apko hum,
Tabhi to lafz v mere shayraane ban gaye,
Aap humari khushi k taraane ban gaye.
special:
*this msg has written 13Mar2010 at 7.45pm by Roshan*

I Misssss Her..................

kisi Ki Yaad Mere Pass rehti Hai,
Bahut Dino Se Ankhe Udas Rehti Hai,
Bichad gaya Wo Per Dil Nahi Manta,
Na Jane Q Milne Ki Ab Bhi Aas Rehti Hai.
*i miss her*

Aaj Bhi Hum Unki Yaado Me Baste Hai.................

Written Date-12september, 11:28am*
Na Chaha Kar Bhi Wo Hamko SmS karte Hai,
Bhool Kar Bhi Wo hamko Wo Bhul Nhi Sakte Hai,
Ham Kaise Kahe Ki Hum Bhi Ki Unko Bhool Nahi Hai,
Aaj Bhi Unki Chahat Ko Apne Sine Me Dabaye Dard Me Rote Hai,
Kaise Kahe Ki Kaise Sooni Raato Me Unki Yaadon Ke Sang Sote Hai,
Wo Hame Nahi Chahti Magar Unke Dil Me Hamari Chahat ke Rang Hi Dikhte Hai,
Jab Bhi Wo Ek Pal Ko Tanha Hote Hai To Aaj Bhi Wo Hamari Yadon ke Sang hi Sote Hai.

Hum Aapke Sath Chalenge................

Hum apk dil mein rahenge ek yaad bankar,
Aapk Hontho pe khilenge muskan bankar,
kabhi humein apne se juda na samajhna,
Hum aapk saath chalenge aasmaan bankar.

Meri Khushiyo Ke Khatir..........................................

Najar n churana hmse khuda k waste,
Dil kisi aur se n lagana hmre waste,
Meri suni padi hai jindgi sirf aur sirf apke khatir,
Mujhe apni yaadon me sanjoye rakhna meri khushyon ki khatir.

Bahut Buri Lagti Hai Jindagi.....................

khafa to hum aauron se hote hai,
Aapse to hum sirf sajda hote hai,
Bahut buri lagti hai ye meri jindgi,
Jab hum apke bagair tanha hote hai.

Sath De Rahe Ya Chod Ke Ja Rahe Hai........................

Kabhi laga ki wo hume sata rhe hai,
Phir laga ki vo karib aa rhe hai,
Kuch log hote h aasuo ki tarah,
Pata hi nhi lagta sath de rhe hai,
Ya sath chod ke ja rhe hai.

Kis Kadar Khoob Hai...................

Kis kadar khoob hai saadgi aapki,
humesha yaad rahegi dosti aapki.
Jab bhi fursat ke lamhe milenge hume,
dil mehsoos karega kami aapki.

Wo Aaj Bhi Hame Yaad Karte Hai.........................

Na Chaha Kar Bhi Wo Hamko SmS karte Hai,
Bhool Kar Bhi Wo hamko Wo Bhul Nhi Sakte Hai,
Ham Kaise Kahe Ki Hum Bhi Ki Unko Bhool Nahi Hai,
Aaj Bhi Unki Chahat Ko Apne Sine Me Dabaye Dard Me Rote Hai,
Kaise Kahe Ki Kaise Sooni Raato Me Unki Yaadon Ke Sang Sote Hai,
Wo Hame Nahi Chahti Magar Unke Dil Me Hamari Chahat ke Rang Hi Dikhte Hai,
Jab Bhi Wo Ek Pal Ko Tanha Hote Hai To Aaj Bhi Wo Hamari Yadon ke Sang hi Sote Hai.
Written Date-12september, 11:28am

Friday, September 10, 2010

Dil Me Jo Pyar...............

Dil me ho jo pyar kisi k liye to ankho se ansu bahte hai*
Hai agar sachha pyar to ankho se hi bate karte hai.
*Written date-3july2010*

Tujhse Milne Ki Khatir.............................

Tujhse milne ki khatir hamne ek pal aaram n kiya tha*
Kal jab mila itne karib se mai*
Tab pata chala ki mai kal se sundar koi pal n jiya tha*
*Written Date-7/8/2010*

Har Pal Me Uska Saath Hota Hai...............

Kisi ki kami har pal mujhe ehsas hota hai*
Meri har ek soch me uska sath hota hai*
Ab to uske pyar k aagosh me din raat gujarta hai

Mehboob ke kadam jahan padte hai.................

Ae mere dil chal us mitti ko chum le jis par mere mehboob k kadam padte hai*
Aaj mil kar aaj unse pyar karu waha jaha meri mehboob rahti hai*

Safar Bahut Lamba Hai...............

Safar bahut lamba hai mgr teri yadon k sahare kaat lenge*
Raat bahut hai mgr teri chaht me khud ko sula lenge*

Aaj Mausam Bahut Suhana Hai...

Aaj yaha mausam bahut suhana hai*
Mera dil to sirf tera diwana hai*
Teri dil me ab meri chaht hai*
kyunki tere dil ko humne apne dil se pehchana hai*
Written by-Roshan Date-22june2010 *

Jabse Aapko Dekha Hai.................

Apki chaht ko apna banane ka armaan maine dil me sanjoya hai*
Apke pyar k samunder me khud ko bhigone ko socha hai*
Ab milti nahi rahat mere dil ko jabse apko dekha hai.

Dard Mobile Me Sms Ban Kar Utar Aaya Hai.....

Bahut si bato ko maine apne dil me chupaya hai*
Apne dil ke dard ko ansuo me bahaya hai*
Fir bhi mera dard apke mobile me sms ban ke utar aaya hai.
Writen By-Roshan Date-23june2010 *
Bahut samay baad humne sms kiya hai*
Apko batane k liye ki apko kitna miss kiya hai*
Mujhe bahut dard hua aapka sms na pakar*
kaise kahu ki bite hue pal ko kaise maine jiya hai?
"Written Date-6/22/2010"

Dil Tadap Raha Hai...............

"DIL TADAP RAHA HAI TERI YAADO ME"
JINDGI ME GUM HI GUM HAI HAR PAL ME,
NHI PATA MUJHE KYA ITNA CHAHTA HU MAI TUJHE,
JAB LIKHA HI NHI HAI TUJHKO PANA MERE NASEEB ME.
"Written Date-3 JULY 2010"
HUMSE KHAFA MAT HONA WARNA HUM KHUD B KHUD TANHA HOKE MAR JAYENGE"
DUA HOGI HUMARI RAB SE KI AGLE JANAM ME TERI BAHO KA SAHARA HUM CHAHENGE.
¤I MISS U SASHI¤W.BY-RD¤ DATE 2JULY2010

Dosti To Khushiyon Ki Barsaat Hoti Hai.....................

Dosti Dilo Dimaag Se Hoti Hai,
Jo Humko Apni Pehchan Deti Hai,
Dost Kahke Hume Bhula Na Dena,
Kyonki Dosti Khushyon Ki Brsaat Hoti Hai*

Dil Ko Hum Apne....................

Dil ko hum apne smjha nahi pate,
aapko yaad karne se is dil ko rok nahi paate,
khich lati hai mujhko ye aapki yaade,
kya kare dil mera hai najuk kisi k pyar ko bhula nahi pate.

Dil Ko Hum Apne....................

Dil ko hum apne smjha nahi pate,
aapko yaad karne se is dil ko rok nahi paate,
khich lati hai mujhko ye aapki yaade,
kya kare dil mera hai najuk kisi k pyar ko bhula nahi pate.

Kya Likhe Aapko Dekhakar............

Date-11june2010
kya likhe aapko dekhar kaha nahi jata,
aapko khubsurti dekhkar ab saha nahi jata,
aap hasina ho ya fir jannat ki pari,
jise dekhkar ab raato me soya nahi jaata.

Gamo Ki Bhid Me Roshan Akela Dikhayi Deta Hai...............

Mere Samne Ek Azeeb Sa Manjar Dikhai Deta Hai,
Har Qatre Mein Samndar Dikhai Deta Hai,
Kaise Banaun Mein Bhala Aashiya Shishe Ka,
Har Ek Sakhas Ke Haath Mein Patthar Dikhai Deta Hai,
Har Sakhs Nazar Aaraha Hai Khush Kitana,
Gamo Ki Bhid Mein ‘Roshan’ Dikhyai Deta Hai.

Hamari Rangeen Halat Se Kya Hota...............

Bunjar Ho Zameen To Bersaat Se Kya Hota Hai,
Bay Amal Ho Dil To Jazbat Se Kya Hota Hai,
Hai Amal Lazmi Hamara Dil Aapki Ki khusioon Ke Liye,
Warna Hamaari Rangeen haalat Se Kya Hota Hai.

Jindagi Bhar sath Nibhane Ka Wada......

Date-8AUG2010, 10:01am
Jindagi bhar sath nibhane ka wada karke ek pal me tod jaogi hamme socha n tha,
ek pal ki khushi ke liye jindagi bhar ka dard de jaogi hamne socha n tha,
bina kisi galti ke itni badi saja de jaogi hamne socha na tha,
ek arse baad mere pyar ko jhuthla dogi ye hamne ek baar bhi na socha tha.

Jab Saath Hi Chodna Tha To................

Date-8AUG2010, 10:01am
jab sath hi chodana tha mera to hath kyu pakada tha,
Jab krna na tha pyar to mere dil ke jajbaat ko kyu cheda tha,
jab chalna na tha mere sath to bich jindagi ki raah me akela kyu choda tha?

Sachhi Chahat................................

Date-8AUG2010, 10:01am
mere siva tujhe jindagi bhar kahi sachhi chaht naa milegi,
apni chahat ke khatir tu har pal me tadpegi,
jab aayegi meri yaad jindagi ke kisi raho me,
To teri aankho me pachtawe ki aansu hi chalkegi.

Jindagi Ki Khawahish..............

Date-12aug2010, 11:30am
jindgi ki hasrat hai ki aapko apne gale ek din lagayenge,
apki palko ki chanv me apni jami sajayenge,
apni khawahisho ka manjar aapke khushiyo se sajayenge.....
apni har saans me aapka naam likh jayenge.

Har Safar Me Aapka Saath........................

Har Safar Me Hum Aapka Sath Chahte Hai*
Apne Pyar Ke Samundar Se Aapki Pyas Bujhana Chahte Hai *
W. By- Roshan<12aug2010*10:35pm>

Birthday Special....

*Here i have written a shayri specialy for my dear Friend Chandan Jha*
Aae mere dost Chandan aapki Har Shama diwani ho*
Pyar hi pyar ki apke har taraf kahani ho*
aapki jindagi ka har pal kuch aise kaate*
Jahan sirf Khushiyon ki hi kahani ho*
*Many Many Happy Returns Of The Day*

Maar Denge Ye Rajniti Karne Wale..........

Aaye hai shama me aag lagane*
Aapki najaro me sach ki aas jagane*
Jara sambhal kar chalo duniya ki sadak par*
Warna maar denge ye rajniti karne wale*

Dost Ki Chahat.............

A dost hum to marte hai teri chaht ke khatir*
Magar tu rahati hai door hamse apni gurur ke khatir*
Milenge Tujhko hajaro magar*
Mera wada hai teri gum me koi na aayega tujhe dhadhs badhane ki khatir*
Jab samjh aa jaye hamra pyar tumko to ham dosto se gile sikwe door kar lena*
Aakhir hum hi karenge duaa teri har khushi ki khatir*

Dil Ka Dard.............

*Aap Kya jano Dil Ka Dard,
Wo To Hum Jaiase logo Par Hi Asar Dalta Hai,
Jo karte Hai Kisi Se Sachhi Mohabbat,
Ye Unko hi Tadpa Kar Marta Hai *

Dosti Ka Dard...................

*Dosti Ki hai Ab Apse To Dooriyo Ka Dard Bhi Sahunga,
Magar Khushi Milti Hai ki Ab Apke Dil Me Marne Ke Baad Bhi Har Pal Jinda Rahunga*

Friendship................

*Friendship is not a game that we connect a person while Friendship is a relation which Make Love at any time, any place and forever* So Dnt Cheat With Friends....

Har Ek Phool............

*Har Ek Phool Khilta Hai Murjha Jane Ke Liye Magar Hum To Khile Hai Dosto Pe Mit Jane Ke Liye*

Pyar Karana Koi...............

Didar karna koi aapki nigahon se puche,
Magar Pyar karna ka hota hai ye hamari aanho se puche.

Mastaani raat me...................

Ujale ne li hai karwat, Raat ne uthayi hai ghunghat*
Aayi hai mastani raat fir se, Palko par saji hai ab so jane ki chahat*

Birthday Special.................

Teri Umar Meri Dosti Jaisee Lambi Ho*
Tujhse Chahat Kisi Ki Kabhi Kam Na Ho*
Tu Sada Khush Rahe Aae Mere Dost*
Teri Dil Me Har Pal Meri Dosti Rahe*

Chahat Ke Rang....................

Hum Apni Chaht K rang Aap Par Kuch Aise Daalenge*
Ki Aap Har Pal Me Humari yaadon Me Bahenge*
Aap Ki Soch Jab Aur jahan Se Bhi Suru Hogi Magar*
Aap Hum Par Hi Apni Khayalo Ko Ruka Payenge*
written By Roshan At <10 September*12:40pm>

Hame To Hajaro Mil Jayenge Magar.....................

Hamne To Manga Tha Ek Pyara Aur Sachha Dost*
Magar Hame To Aap jaise Hajaro Mil Gaye*
Shyad Isiliye Hamare Dil Ke Hajaro Tukde Ho Gaye*
Har Ek Tukde Me Sachhi Dosti Banane Ki Chahat Hai Hamari*
Magar Aapke Bhi Hum Jaise Hajaro Diwane Ho Gaye*
Written Specialy For Friend By Mr. Roshan Dhar Dubey

Jindagi Ki Rah Me.......................

Jindgi ki rah me har mod pe naye raste milte hai*Dosti to hajar mgar unme kuch hi dil se milte hai*Hum har us shaqs se mohabbat karte hai*Jo hume apne dil me ek pal ko v rakhte hai*
*Specialy Written By Mr. Roshan Dhar Dubey ( )*