Sunday, November 13, 2011
Mujhe Unki Muskurahat Har Waqt Bhati Hai....
Mujhe unki muskuraht har waqt bahut bhati hai,
Jab wo mere or dekh apni najre churati hai,
Na jane wo mujhse kuch kehna chahti hai,
Shayad isiliye koi bahana lekar mere har waqt karib aati hai.
Thursday, November 10, 2011
Waqt Ke Dariya Me Ek Mnjar Apno Ka Bhi Ho...
Waqt Ke Dariya Me Ek Mnjar Apno Ka Bhi Ho,
Kabhi Ek Pal Dard Ka To Dujhe Pal Khushiyo Ka bHi Ho,
Jisne Kar Diya Hai Mujhko Door Mere Sapno Se,
Kal Wo Sapna Ek Pal Ko Uska Bhi Ho,
Mila Hai Jo Safar Mujhe Meri Jindagi Ka,
Us Safar Me Ek Pal Khushi Ka Bhi Ho,
Jo Sochte Hai Ki Dard Hi Dard Hai Unki Jindagi Me,
Ek Subah Unki Jindagi me Khushiyon Ka Mela Ho,
Jo Chod Gaya Mujhko Akela Is Maut Ke Dariya Me,
Kal Ko Uska Bhi Jivan Me Ek Pal Akela Ho,
Jo Dard Maine Sahaa Hai Kash Uska Ehsas Uske Bhi Dil Me Ho,
Mile Sikh Usko Bhi Mujhe Mere Sapne Se Door Karne Ki,
Kash Wo Bhi Ek Pal Apno Ke Bagair Is Jahaan Me Akela Ho,
Jo Mehsus Kar Le Meri Is Paheli Ko,
Wo Is Jahan Me Kabhi Akela Na Ho.
Saturday, November 5, 2011
A Dream House OF Happiness
Ye Such Hai Humara Aaj Ka,
Ki Kal Humara Bhi Ek Karwan Hoga,
Jinhone China Hai Humse Humari Khusiyon Ke Pal,
Ek Din Unko Bhi Humare Such Ko Janana Hoga,
Waqt To Lagte Hai Halat Ko Badlne Me,
Jis Din Mila Mauka Takdeer Se,
To Humare Naam Ka Bhi Ek Khusiyon Bhara Mahal Hoga.
Rock Without Terror
***Rock Without Terror***
Ye Dikhawe Ke Kapde Na Sahi,
Mgar Humpe Such K Sapne To Hai,
Log To Chod Dete Hai Khoon Ke Riston Ko Bhi,
Magr Hum To Alag-Alag Hokar Bhi Ek-Duje Ke Apne Hai.
Hum Unpe Kya Bharosa Kare..
Jo Log Such Ke Chadr Ko Lapet..
Jhoot Ke Raste Par Chal Dete Hai,
Jinhone Ne China Hai Humse Hamara Aashiyana..
Wo Log To Apno Ko Bhi Ek Waqt Ke Baad Loot Lete Hai.
Wednesday, November 2, 2011
Nayi Subah Me Aaj Ek Naya Aagaj Karunga.....
Nayi Subah Me Aaj Ek Naya Aagaj Karunga,
Naye-Naye Sapno Ko Aaj Fir Ek Nayi Suruaat Dung..!
Apni Jindagi ke Har Pal Me Rakhunga Apni Biti Yadon Ko,
Jab Bhi Tutega Sapna Tab Khud Ko Un Yadon Me Chipa Lunga..!
Nayi-Nayi Umango Ke Sang Apni Har Sapno Ko Jiunga,
Ishq,Pyar aur Mohabbat in teeno ko Har Sapne Me Rakhunga..!
Toot Ke Bhi Jood Jaunga Akelepan Se Ladkar,
Maa-paapa Ki Jholi Me Khusiyon Ko Bhar Dunga..!
Jo Mamta Aur Pyar Diya Hai Chanv Unhone Ne Mujhe,
Unki Har Ek Baat Ko Apni Yadon Me Jinda Rakhunga..!
Mila Hai Jo Pyar Bhayi, Bahan Aur Yaron Ka,
Uski Har Kimat Mai Chukaunga..!
Mera Sapna To Pyar Aur Khushiyan Hai,
Jinhe Har Subah Nayi Nayi Baaton Se Sajaunga..!
Suraj Jaise Lata Hai Kiran Roshni Ki,
Wiase Hi Apno Ke Jivan Me Khusiyo Ke Pal Le Kar Mai Roshan Aaunga.!

Subscribe to:
Posts (Atom)